motivational

Apni kamjori ko apni taaqat banawo-“Inspirational story for student”

apni-kamjori-ko-apni-taaqat-banao story

Bahut pahle ki baat hai ki log bahut saare mushkilo ka saamna krte the aur phir apne liye khane aur paani ka bandobast kr paate the, pahle panni ki bahut samasya thi aaj kal to hum paani ka itna misuse krte hai hume paani ki kimat nhi samajhte lekin aaj se bahut saal pahle paani ke liye kaafi mehnat krni padti thi subah 5 baje uthkar nadi se paani bharkar laana padta tha aur wo bhi kafi door se aur us samay paani ko store krne ke liye bhi kuch nhi tha lekin aa kal to tank hai jisme hum kitna bhi paani store kr sakte hai lekin pahle aisa nhi tha pahle ke log matke me paani store kr ke rakhte the jo ki bahut chota hota tha aur mushkil se ek din chalta tha.Ek bahut hi gareeb kisaan tha tha jo bahut hi dukhad zindagi kaat rha bahut hi mushkil se khaane aur paani ka intezaam kr paata tha aur wo roj subah 5 baje uthkar paani laane ke liye nadi me jaata tha uske pass do matke the jinme se ek phuta huwa tha wo us matke ko ek rassi se baandkar ek dande me lga ke usme paani lata tha lekin ek matka phuta hone ke kaaran aadha panni raaste me hi gir jaata tha aur wo pura paani ghar nhi la pata tha .

Is baat se phuta huwa matka bahut hi koshta tha apne aap ko ki ye kisaan daily subah uthkar paani bhar kr laata hai aur mai aadha paani hi gha rpar la paata hu aur aadha paani raaste me gira deta hu ye soch kar wo bahut niraash tha aur dusra wala matka bahut hi khush tha ki mai saara panni ghar laan eme samarth hu.

to phir ek din phute huye ghade ne kisaan se bola ki mai bahut sarminda hu ki aap daily paani bhar ke laate hai aur mai aadha panni raaste me gira deta hu mujhe maaf kr dijiye ye sunkar kisaan bola koi baat nhi isme tumhari koi galati nhi hai mujhe tumse se koi sikaayat nhi hai aur usne phute huye ghade se bola ki tum raaste me jitne bhi phool hai unhe dekh lena aur ye kehkar wo ghar ki taraf chal pda ghar pahuchane ke baad wo ghada phir se bola ki aaj bhi saara paani gir gya to phir kisaan ne bola mujhe pta hai ki tumhara aadha paani raaste me gir jaata hai isiliye maine raaste me phool lga diya tha taaki tumhara paani unko mil jaaye aur wo hamesha hare-bhare dikhe jis se mujhe bahut achha lgta tha raaste me hare-bhare phool ko dekhkar ye sunkar phuta ghada bahut khush huwa , phir kisaan ne bola ki tumhe dukhi nhi hona chahiye kyunki tum phutne ke baad bhi kitni saare phool ko haara-bhara rakha hai to ye tumhari kamjori nhi balki tumhari taaqat hai.To dosto hum is kahaani ke andar chupe huye motivational massage ko jaante hai ki dosto kamiya har insaan me hoti hai koi bhi insaan perfect nhi hota agar koi insaan ye bole ki mujh me koi kami nhi hai mai bilkul perfect hu to ye bilkul galat hai kyunki mujhe aapko samjhane ki jarurat nhi ki paancho ungliya kabhi barabar nhi hoti to har kisi me kuckh na kuch kami jarur hoti ha lekin ye ho sakta hai ki kisi me jyada ho aur kisi me kam lekin hota sab me hai to hume is kami ko sudarne ki koshish krne chahiye apni kamjori ko apni taaqat banana chahiye aur ye taaqat banegi hamari positive thiking se hume apni andar ki kamiyo ko taaqat banana chahiye kyunki har insaan ko pta hota hai unke andar kya kami hai to unhe pahchano aur unhe improve kro aur aur hamesha positive thinking rakho.