motivational

Usain Bolt- “the fastest man on the earth”

Usain Bolt- "the fastest man on the earth"

Usain Bolt jo ki bahut hi achhe racer hai aur unhone apni life me bahut saare medal jeeta.usain bolt ko “the fastest man on the earth” kha jata hai.usain bolt ke america me sabse jyada followers hai.

To sabse pahle hum husain bolt ki real life ke baare me jaanenge ki kis tarah usain bolt ne apni life me itni badi saflta prapt ki aur kya hai inki bachppan ki wo baate jinki saamna krte hue wo is mukaam ko haasil kiya.

Usain bolt success story in hindi

Usain bolt ke pita ek shopkeepar the unki ek khud ki choti si dukaan thi jisse unka ghar chalta tha aur unki maa ek housewife thi. 1984 me karl louis ke baad usain bolt ek matra aise racer hai jinhone 2008 me 3 gold medal jeeta aur itihaas me apna naam darj kiya aur wo bhi sirf ek hi olympic me,

magar kehte hai ki log sirf safalta dekhte hai sangharsh nhi. ye baat hai 2004 ki jab usain bolt ne pahli baar olympic me participate kiya tha aur wo buri tarah se haar gye the aur unke coaches ne ye tak kah diya tha ki wo apna pura focus 200m ki race pe lagaye wo 100m ki race ke liye bane hi nhi hai region tha unki height kyonki height ki wajah se unko start krne me problem hoti thi aur yahi wajah thi ki wo 2004 ke olympic me haar gye the .

Aur ye baat bilkul sach hai ki kisi bhi olympic me haarne ke baad insaan nervous ho hi jata hai chahe wo bahut bda star hi kyu na ho. lekin 2004 ka olympic haarne ke baad bhi usain bolt ne haar nhi maani aur wo phir se aur jyada practice krne lge.

halaki usain bolt khud kehte hai ki agar apko jitna hai to haar ka muh jarur dekhna padega aur ye baat bilkul sach hai ki thokar khane ke baad hi insaan ko safalta milti hai.aur yahi baat usain bolt ne apne dil aur dimaag me bitha liya ki hme ek na ek din olympic me gold medal jitna hai. aur 2004 ke olympic ke baad saayad kisi ko usain bolt pe bharosa nhi tha ki wo ek din itne bde racer banenge.usain bolt ko bachpan se hi sports se bahut jyada lagaav tha jaise cricket,football me .

aur ek baat jab usain bolt 12th class me padhte the tab unhone pahli baar 100m ki race me participate kiya aur phir unhone apne school ke sabse fastest racer ko maat di .aur is race ke jitne ke baaad school teachers ne unki kaafi help ki aage le jaane me halaki usain bolt confuse rahte the cricket aur sprinting ko lekar lekin finally unhone decide kiya ki hme sirf sprinting par hi focus krna chahiya.

Bolt ne apni porsonal life me kaafi compromise kiye taaki wo ek achhe athlet me apna career bna sake jaise ki koi enjoyment nhi aur koi party nhi unhone sirf apna focus apni career pe lagaya taaki wo ek achhe athlet ban sake jo ki kaafi difficult hai personal life me in sab se samjhauta krna lekin phir bhi usain bolt ne ye sab jhod kr apna pura focus athlet pe lagaya.

usain bolt har roj 12 ghante practice krte the aur daily itnni mehnat krne ke baad bolt ne 2002 me junior world champion me world record banaya aur gold jeeta. bolt ne apni life me itna sangharsh krne ke baad aur 2004 ka olympic haarne ke baad bhi unhone lagatar mehnat kiya aur phir wo 2008 ke olympic me 100m aur 200m race me gold medal jeetkar world record banaya.bolt ne 2008 ke plympic me 100m ki race 9.69sec me aur 200m ki race 19:30 sec me lagakar world record banaya.Aur phir uske kuch saal baad bolt to rukne wale the nhi phir unhone world championship me gold jeeta aur 100m ki race 9.58sec me pura kiya aur 200m ki race 19.19sec me maar kr world record banaya jiska record aaj tak kisi ne nhi toda jo ki kaafi muskil hai. Halaki ki race me kuch kha nhi ja sakta aaj bolt hai to kal koi aur lekin philhal abhi is record ko kisi ne nhi toda. To aise usain bolt ne apni life me itni mehnat krne ke baad is mukaam tak pahuche hai , jo ki kaafi sharaahniya hai.