motivational

ईमानदार लकड़हारा – “The Honest Woodcutter” – motivational story in hindi

The Honest Woodcutter story in hindi

The Honest Woodcutter story in hindi : Ek bahut bade jungle ke pass ek gaw tha jisme do lakadhaare rahte the. jisme se ek ka naam tha deena aur doosre ka naam tha shyama, deena bada hi mehnati aur chust tha wo roj subah-2 lakdi kaatne jaata tha aur apne pariwaar ka pet bharta tha aur wahi shyama ek number ka aalshi aur bura insaan tha wo der subah tak sota tha aur kaam me bhi man nhi lagata tha .

ek din jab deena subah-2 lakdi kaatne ja rha tha ,wo shyama ke ghar se hokar gujra to ye dekhkar shyama sochne laga ki itni subah-2 kaha ja rha hai mai to kuch samay baad jaunga lakdi kaatne .Deena jungle me pahucha to usko aas-pass kahi bhi lakdi nhi mili, phir wo lakdi dhoondhte-2 kaafi andar chala gya phir usne ek ped dekha jo ki talaab ke kinaare tha, wo bina der kiye hi us ped par chadh kar uski tahni ko kaatne laga tabhi achanak uski kulhaari us talaab me ja giri wo bahut hi dukhi huwa kyunki wahi uske kamaane ki jariya thi .

The Honest Woodcutter motivational story in hindi

Ab wo kaafi niraash ho gya aur bhagwan se vinati krne lga ki he bhagwan meri help karo .
Tabhi us talaab se ek devi nikli aur unhone deena se puchha kya huwa vatsh tum itne udaas kyun ho tab deena ne kaha ki he mata meri kulhaari is talaab me gir gyi hai kripya aap mujhe meri kulhaari waapas kar dijiye kyunki issi kulhaari se mai apne pariwaar ka pet bharta hu ye sunkar devi ne ek sone ki kulhaari dikhaya aur puchha dekho ye hai tumhari kulhaari tab deena ne kaha nhi mata ye meri nhi hai,

phir unhone ek chandi ki kulhaari dikhaya aur puchha ki ye hai phir deena ne kaha nhi mata ye bhi meri kulhaari nhi hai.

Aur phir unhone lohe ki kulhaari ko dikhaya aur kaha ye hai tumhari kulhaari ye dekhkar deena bahut khush huwa aur kaha ha mata yahi hai meri kulhaari , uski imaandari dekhkar wo bahut khush huyi aur kaha ki mai tumhaari iss imaandari se bahut khush hu tum ye tino kulhaari rakh lo , deena us tino kulhaari ko lekar ghar waapas chala gya aur bahut khush tha tabhi shyama ne dekha ki ye to lohe ki kulhaari lekar jungle me gya tha aur abhi iske paas sone aur chaandi ki kulhaari kaha se aa gyi ye sochkar wo deena ka pichha kiya.

Deena ghar pahuch kar apni biwi ko ye saari baat bataai aur dono bahut khush huye, aur phir unhone faisla kiya ki dono kulhaari ko market me bech denge, shyama ye saari bate sun rha tha. Aur phir agle din jab deena jungle jaane lga to shyama bhi uske piche chala gya aur usne dekha ki deena talaab ke paas ussi ped ko kaat rha tha to wo samajh gya ki usko ye kulhaari issi talaab se mili hai phir wo uske jaane ka intezaar karne laga ,

aur phir jaise hi deena waha se gya wo waha pe aa gya aur apni kulhaari ko jaan bujh kar talaab me fek diya aur rone laga aur kahne laga he bhagwan meri madad karo meri kulhaari talaab me gir gyi hai ab mai kya karunga, to ye sunkar devi pragat huyi aur unhone puchha kya huwa vatshh kyun ro rhe ho to usne kaha ki meri kulhaari iss nadi me gir gyi hai ye sukar devi bahut krodhit huyi kyunki wo jhuth bol rha tha phir unhone usko sabak sikhane ka faisla kiya ,

unhone ek chandi ki kulhaari ko dikhaya aur puchha ye hai to usne mna kr diya phir unhone sone ki dikhaai to wo bada khush huwa aur bola haa yahi hai meri kulhaari, phir kya tha devi wo tino kulhaari leke adrishya ho gyi aur usko apne laalach ke kaaran apni kulhaari bhi gawani padi. To dosto mai is kahaani se aapko ye batana chahta hu ki insaan ko kabhi bhi laalach nhi karna chahiye,wo jitne me hai usko utne me hi khush rahna chahiye.