motivational

नरेंद्र मोदी की जीवनी – (“narendra modi Biography in hindi”)

narendra-modi-biography
narendra modi Biography in hindi

Dosto hum sab jaante hai ki jo log apni life me sangharsh karte hai unko kaamyabi zarur milti hai. Agar koi insaan soch le ki hame is mukaam ko haasil karna hai chahe wo kitna bhi kathin kyun na ho, agar wo poore siddat ke saath us kaam ko poora karne me lag jaaye to usko apne manzil tak pahuchane se koi naho rok sakta hai.

To dosto aisi hi ek kahaani sunane ja rha hu ki kaise ek chay bechane wala apne life me struggle karke aaj hamare desh ke prime minister ke pad ko haasil kiya hai.

narendra-modi-biography

narendra modi Biography in hindi


To chaliye mai aapko hamare desh ke prime minister yaani “Narendra Modi” ke life story ke baare me batata hu, ki kaise unhone chay se PM tak ka safar kiya.

Dosto waise to narendra modi ka janm ek simple pariwaar me huwa,lekin apni desh bhakti, jazbe aur mehnat ke dam pe unhone aisi safalta haasil kiya ki uske baare me koi soch bhi nhi sakta hai. Narendra modi ek behad hi gareeb ghar me paida huye, apne bachpan ke dino me jab bache khelne-kudne me apna samay bitate hai, un samayo me wo apne ghar ki aarthik sahayata ke liye apne papa ke kaamo me haath batate the aur train ki deebo me ja-2 kar chay bechii. lekin dosto agar aapke andar apne desh ke liye kuch kar jaane ki ichha ho to koi bhi kaam difficult nahi hota, ye baat bilkul sach hai ki agar kisi insaan ke andar desh bhakti ho to wo kuch bhi kar sakta hai.

“kaun kahta hai ki aasma me suraag nahi ho sakta ek pathar to tabiyat se uchalo yaaro”.

To aaiye dosto hum aapko Modi ji ke bare me chay bechane se lekar prime minister ban ne tak ke adbhut safar ko detail me jaante hai.

Narendra modi ki jeevani:-

Narendra Modi ka janm 17 sep 1950 ko bombay rajya mehsaan zile me vadnagar naam ke ek gaw me huwa tha. dosto bta du ki bombay rajya pahle bharat ka hi ek rajya tha jisko 1 may 1960 me alag kar gujarat aur maharastra do rajya bana diya gaya, to iske antargat modi ji ka janm sthan gujarat ke andar aata hai.

Narendra Modi ke pita ka naam damodar das mulchand modi tha aur maa ka naam heeraben tha. wo log bahut hi gareeb the aur wo ek kache makaan me rahte the, unke pita apna ghar chalane ke liye station ke pass chay bechte the. Narendra modi apne mata pita ke kul 6 shantano me tisre putra hai. apne ghar ki aarthik isthiti ko dekhte huye modi padhai ke saath-2 apne pita ke kaamo me haath batate the aur train me ja-2 kar chay bechte the. Modi ke teacher batate hai ki wo padhai me to achhe the hi aur saath me naatak aur bhasad me jamkar hissa lete the aur khel -kud me bhi bahut intrested the. unhone apni school ki padhai vadnagar se puri ki. Sirf 13 saal ki umra me modi ki sagaai yashodaben chamanlal ke saath kar di gayi aur phir 17 saal ki umra me shaadi. Financial express ke ek news ke anusar narendra aur yashoda kuch saal ek saath rah kar bitaye, lekin kuch samay baad wo narendra modi ke ichha se ek doosre ke liye ajnabi ho gaye. lekin narendra modi ke jeevan lekhak aisa nahi maante unka maanna ye hai un dono ki shaadi ek saath zarur huyee lekin wo kabhi ek saath nhi rahe.

Narendra modi ka maanna hai ki ek shaadi-shuda ke muqable avivahit vyakti bhrastachar ke khilaaf zordaar tarike se lad sakta hai, kyunki usko apne pariwaar ki chinta nahi rahti.bachpan se hi Modi me desh bhakti ki bhavna kut-2 kar bhari thi. 1962 me jab bharat-china yudh huwa tha to us samay modi jaawano se bhari train unke liye khana aur chay lekar jaate the.1965 me bhi bharat aur pakistan yudh me Nodi ne jawano ki khub sewa ki thi.Aur issi tarah wo 1971 me RSS ke pracharak ban gaye aur apna pura samay RSS ko dene lage. Wo RSS ka pracharkarne ke liya roj subah 4 baje uth jaate aur der raat tak kaam karte the, RSS ke prachark hone ki wajah se modi ji ne gujarat ke alag-2 jagaho par ja kar logo ki samasyawo ko bahut kareeb se samjha, aur phir bhartiya janta party ka adhaar majboot karne me important role nibhaya.1975 ke aas-pass rajneeti chetra me vivad hone ke kaaran ussamay ki prime minister indra gandhi ne kai rajyo me apatkaalin ghosit kar diya tha aur RSS sansthawo par bhi rok laga diya gaya tha phir bhi modi chori chipe apna kaam karte rahe, aur sarkar ke galat neetiyo ka jamkar virodh kiya.

Modi ji ne ussi samay ek kitaab bhi likhi thi jiska naam “sangharshma gujarat” tha.RSS me kaam karte huye unhone gujarat university se 1980 me rajneeti vigyaan se PG ki degree prapt ki,RSS me achha kaam karne ki wajah se unhe bhajpa me niyukt kiya gya.jaha unhone 1990 me adwani ki ayodhya rath yatra ka bhavya aayojan kiya, jis se BJP ke senior leaders kaafi prabhavit huye.Aur aakhir kaar Modi ki mehnat rang laayi aur unki party ne gujarat ke 1995 vidhan sabha election me bahumat me apni sarkar bna lee.
lekin Modi se kha-suni hone ke baad shankar singh vaghela ne party se resign de diya ,uske baad keshubhai patel ko gujarat ka mukhyamantri bna diya gya. aur narendra modi ke achhe kaam ko dekhkar unko delhi bulakar bhajpa me sangthan ke liye kendriya mantri ki responsibility di gayi.Baat 2001 ki hai kehubhai patel ki tabiyat achanak kharab hone lagi thi aur bhajpa chunaw me kaii seete bhi haar rhi thi, iske baad BJP ne oct 2001 me keshubhai patel ko hatakar Narendra modi ko mukhyamantri ki kamaan shaupi.Narendra modi ne mukhyamantri ka pahla karyakaal 7 oct 2001 se suru kiya.mukhyamantri pad par rahte huye unhone bahut mehnat kara aur gujarat ko phir se majboot bna diya.unhone gaw-2 tak electricity pahuchaee aur tourism ko badhawa diya.

desh me pahli baar kisi rajya ke sabhi nadiyo ko ek saath joda gya jiski wajah se paani ki kamiya bhi door ho gayee aur bahut saare adbhut kaam kiye,aur dekhte hi dekhte gujarat ko bharat ka sabse behtareen rajya bna diya.lekin issi beech gujarat ke godhra kaand se Modi ka naam joda gaya,aur phir congress aur anek bipakshi dalo ne unke isthipa ki maang ki.godhra kaand 27 feb 2002 ko gujarat ke godhra naamak sahar me sabarmati train ke s6 coach me aag lagne ke kaaran 59 logo ki maut ho gayi thi, jiske baad poore gujarat me sampradaaik dange hone suru ho gaye the.Is dange me lagbhag 1200 se zyada log maare gaye the, iske baad is ghatna ki jaach ke liye high court ne vishesh jaach dal banayee. Aur phir jaach dal ke report ke adhaar par faisla sunaya gaya ki in dango me Narendra modi ka koi role nhi tha.Narendra modi ke achhe decision aur kaam ko dekh kar gujarat ke logo ne unhe chaar baar lagatar mukhyamantri banaya.
Gujarat me modi ki safalta dekhkar BJP ke senior netawo ne unko 2014 ke lok sabha chunaw ka pradhan mantri umeedwaar ghosit kiya, jiske baad modi ne poore bharat me bahut saari railiya ki aur saath hi saath unhone social media ka bhi bharpur fayada uthaya,aur apni baat ko logo tak pahuchaya.Aur issi tarah wo desh ke 15we pradhan mantri ban gaye.

Modi ji ke kuch pramukh yojnaye:-

1. Dhan yojna
2. swaksha bharat abhiyan
3. make in india
4. Digital India
5. Pradhan mantri ujawal yojna
6. Pradhan mantri Awas yojna

Narendra modi ki jeevan se judi kuch dilchasp (दिलचस्प) jankariya :-

1. Modi ji pahle aise pradhan mantri hai , jinka janm swatantra bharat me hua.
2. Modi ji social media par sabse popular insaan hai.
3. Modi ji swami vivekanand se bahut prabhawit the.
4. sirf 13 sal ki age me inki shaadi ho gayi thi.
5. Modi ji rojana yoga karte hai, chahe wo khi bhi ho.
6. we daily 18 ghanta kam karte hai.
6. Modi ji bachpan me apne pita ke sath chai bechte the.

Dosto Narendra Modi ji ka kahna hai ki “darte to wo hai jo apni chabi ke liya marte hai mai to hidustaan ki chabi ke liya marta hu”aur issi liye kisi se nahi darta hu. To dosto ye thi hamare PM Narendra Modi ki kahani.

mujhe umeed hai ki aapko ye kahni pasand aayi hogi. aap hamara manobal badhane ke liye social media site jaise , facebook, google, twitter, whatsapp par share karna na bhule. Thanks and keep visting 🙂

अगर आपके पास हिंदी में कोई story, article, biography, inspirational story या जानकारी है, और आप हमारे साथ share करना चाहते है तो कृपया उसे अपनी फोटो के साथ E-mail करें. हमारा email address है:- hellohindipro@gmail.com
अगर आपकी कहानी हमें पसंद आयी तो हम उसे hindipro पर आपके नाम और फोटो के साथ शेयर करेंगे ! Thanks!

1 Comment