motivational

milkha singh -“The flying sikh” life story

milkha-singh life story

milkha singh jo ki bharat ke bahut bade racer hai jinko duniya “the flying sikh” ke naam se bhi jaanti hai,to aaiye sunte hai ki milkha singh ne kaise tay kiya itna lamba sufar aur kis haalaat me wo is mukaam ko haasil kiya.To suru krte hai milkha singh ka janm ek chote se gaw govind pura me hua jo ki pakistan me hai, unka janm 20 november 1932 me hua.unke pita ka naam sampurna singh tha jo ki ek chote se kisaan the aur maa ka naam chawali kaur jo ki house wife thi. vibhajan ke baad jo dange hue unme milkha singh ka pariwaar bhi uske chapet me aa gya aur unke mata pita ko unki aankho ke saamne hi maar diya gya tha lekin milkha singh ne kisi tarah se apni jaan bachakar wha se bhaag gye aur pakistan se train pakad kr wo delhi pahuch gye the. Bharat aur pakistan vibhajan ke ghaw abhi bhi milkha singh ke dil me taaja hai , wo kahte hai ki jab jab pet khaali ho to insaan kaise apne desh ke baare me soch sakta hai . jab wo pakistan se delhi aaye tab unke pass khane ke liye bhi kuch nhi tha yaani ki kaafi sangharsh purna zindagi guzaar rhe the wo kehte hai ki jab mujhe khane ko roti mili tab maine desh ke baare me sochna suru kiya . 9th class pass krne ke baad unhone delhi me kuch kaam krna suru kiya aur sena me bharti hone ki sochi phir kya tha wo sena me bharti ke liye gye aur tin baar reject hue.aur phir bhi unhone haar nhi maani aur practice jaari rakhi aur aakhir kaar chauthi baar kaafi koshish krne ke baad 1951 me wo sena me bharti ho gye.
milkha singh kahte hai ki bachpan me jo unhone padhai kne ke liye ghar se school aane jaane me jo 10km ki duri tay krte the whi practice us sena ki bharti me kaam aayi.bharti ke samay wo cross country race me 6th position par the aur sena ne unhe khel kud ke liye special training ke liye chun liya.aur phir sena me bharti hone ke baad unhone apni pachaan banayi national phir international level tak.