motivational

माइकल जैक्सन success life story – “biography”

michael-jackson story in hindi

michael jackson ka janm 29 august 1958 me america ke gary naamak sahar me huwa tha. Michael jackson ke pita ka naam joseph walter jackson tha jo us steel company me kaam krte the aur paise ke liye wo ek chote se band falcon me guitar bhi bajaate the.michael ki maa kathrine ko bhi music bahut pasand tha aur isiliye unhone apne bachho ko music sikhne ke liye encourage kiya. jackson apni teen bahno aur paanch bhaiyo ke saath bade huye aur bade hone ke baad 1964 me apne bade bhaiyo ke dwara banaye gye band jackson brothers band me saamil ho gye us samay michael ki age sirf 5 saal thi.michael jackson ke band me aa jaane ke baad unke bade bhaiyo ne band ka naam badlkar jackson5 rakh diya, uske baad michael ne apne bade bhaiyo ke saath bahut saare club me perform kiya. phir 1968 me michael brothers ne motown ke saath contract sign kiya aur tab unke family ko gary city chodkar los angelous shift hona pda.

Aur phir agle hi saal 1969 me motown records ne unka album “Diana ross present the jackson5” release kiya jiske sabhi gaano ko darshko se bahut achha response mila is album ko release krte samay michael sirf 11 saal ke the.Aur agle saal 1970 me motown records ke saath jackson5 ne “ABC” album release kiya

.Is album ka “I want you back song” release hote hi hit ho gya, ye gaana sirf ek week ke andar hi billboard ke hot 100 me first position par aa gya ,lagataar do hit ke baad michael jackson 12 saal ki umra me pure world me kaafi famous hone lge the ab jackson family par bhi paiso ki baarish ho chuki thi.

aur phir wo may 1971 me 2 acre waale bade se ghar me rhne ke california shift ho gye . 1972 se 1975 tak michael ne motown ke saath milkar chaar solo album bhi nikale jisme aur phir ye album bhi bahut bda hit huwa.Aur phir 1979 me michael ne epic record ke saath apna pahla solo album nikala jiski 7 million copy biki.lekin michael ki sabse badi safalta 1982 me epic record ke saath release ki huyee thriller album ke saath aayi jis album ne akele michael ko 7 grammy aur 8 american music award ke saath-2 bahut saare award dilwaye . album saare records ko todkar duniya bhar me us samay tak ka sabse best album bn gya , album ne 65 million copies ki bikri ki aur america me usko double diamond ka position diya gya.

Aur phir uske baad michael ne kabhi piche mudkar nhi dekha aur unhone apne pure carrier me 39 guinness world record ,13 grammy life time achievement award , 26 american music awards aur 18 world music award jaisi bahut saare awards haasil kiye .

2 Comments