motivational

कामयाब होने की कीमत – “hardwork is the key of success”

kamyab-hone-ki-kimat

dosto hum jaante hai ki hamari life bahut hi sangharshpurna hai agar hme apni life me kuch krna hai to hardwork krna he padega kyunki bina hardwork kiye hum aage nhi badh sakte. Nirantar prayaash hi hume success dila sakti hai chahe wo koi bhi ho .Aaj mai ek aapko kahanni sunane ja rha hu jo ki bahut hi intresting hai, is kahaani se hme ye pta chalega ki life me hardwork kitna jaruri hai. to chaliye sidhe kahni ki taraf chalte hai.

ek jungle me ek eagle yaani “baaj” ka group rhta tha wo saare ek saath hi rhte the aur shikaar krne bhi sath me hi jaate the. wo daily subaah shikaar pe niklte aur shaam ko usi jungle me laut aate , aise krtte-2 bahut din bit gaye phir wo log ek din shikaar pe nikle aur bahut door chale gye tab unki nazar ek talaab pe padi to unhone faisla kiya ki wo us talaab ke paas chale. phir kya tha saare eagle wha gye to unhone dekha ki wo talaab kaafi chota tha lekin usme bahut saari fish thi ye dekhkar saare eagle khush ho gye aur unhone faisla kiya ki ab wo whi rhenge aur jungle me nhi jaayenge kyun ki wha saari subidha thi aur jyada mehnat krne ki jarurat bhi nhi thi, aur naahi udne ki isliye unhone tay kiya ki wo ab yahi rahenge tabhi unme se ek bridh (budha) eagle bola ki nhi hum yha nhi rahenge apna shikaar kr ke jungle laut jaayenge, lekin baaki saare eagle ne faisla kr liya tha ki hum yahi rahenge to phir bridh eagle bola thik hai hai mai to jungle me hi rahunga aur ye kah kr wo wha se ud kr jungle me chala gya .

Bahut din bit gye tab bridh eagle ne socha ki bahut din ho gye mujhe apne dosto se mile huye to kyun na aaj hum apne dosto se mile, ye soch kr wo chala gya apne dosto ke pass wha ja kr usne dekha ki uske saare dost mare pade the aur ek ghayal awastha me pda the ye dekhkar use bahut dukh huya aur usne ghayal eagle se pucha ki ye sab kaise hua to usne bataya ki ek sher ka jhund yaha se gujar rha tha aur hume dekhkar hum par attack kr diya aur hum ud nhi paye kyunki ki humne bahut dino se udna chod rakha tha isliye wo sabko maar diya. ye sunkar bridh eagle ko bahut dukh huaa aur kahne laga ki maine kaha tha ki tum log bhi mere saath jungle waapas chalo lekin tum logo ne meri ek nahi suni, agar tum sab mere saath chale gye hote to aaj ye sab kuch nhi hota ,aur phir hum sab ek saath hote.

To dosto hume is kahaani se ye sikhne ko milta hai ki hume apni mehnat kabhi nhi chodni
chahiye aur hamesha better krne ki koshish krni chahiye kyunki average effort to sab lagaate hai
lekin hume apni life me success hona hai to apna best effort lagana hi padega , “never ever stop
training” means ki aap jis bhi field ke andar kaam krte hai usse related training hamesha krte rahiye kyunki baar-2 ek hi kaam ko krne se hamara confidennce level bhi badh jaata aur aap jis bhi field me kaam krte hai usse related information gain krte rahiye.Aur sabse best part agar hame kaamyab hona hai to uski kimat chukani hii padegi , chahe kuch khokar ya phir paakar.Aur jo hamare andar hunar hai usko hame hamesha practice me rakhna chahiye warna hamara bhi wahi hoga jo ki eagle ke saath huaa.

mujhe umeed hai ki aapko ye kahni pasand aayi hogi. hum aise hi kahani hindipro par publish karte rahenge, isliye aap hame facebook par like kar lijiye taki aap koe bhi aisi kahni miss na kar paye.

2 Comments

  • Manoj Jaisa ki aap ne jaisa ye post likha hai kamyab hone ki kimat….. achhi post hai.
    ham apko ek adivde dena chahte hai ki agar aap blogging me apna best krna chahte hai to kabhi bhi kisi post ka copy nhi karna yani jo bhi likhna self ki soch se , fir dekhna aap bahut aage jaoge .
    aur kisi bhi help ke liye aap hme hmare email Id par kabhi bhi email kar skte hai.
    Best of luck of better future in blogging.

    keep going to your Best…………