motivational

काबिलियत की पहचान -“Motivatinal Story in hindi”

kabiliyat-ki-pehchan story in hindi

dosto hum sab jaante hai ki har insaan ke andar koi na koi kaabiliyat hoti hai, lekin insaan apne andar ke kaabiliyat ko pahchaan nhi paata aur dar-2 pe thokre khata rahta hai. God ne hum sab ke andar koi na koi tailent jarur diya hota hai, bs hme us tailent ko baahar nikalana chahiye.Issi baat ko achhe tarike se samjhane ke liye mai aapko ek bahut hi intresting kahanni sunata hu.

Kisi jungle me ek bahut bda talaab tha aur us talaab ke paas ek bahut hi sundar bagicha tha , wo bagicha bahut hara-bhara tha aur usme tarah-2 ke ped paudhe lage huye the .Waha par bahut door-2 se aate the aur us bagiche ka taarif krte the , usme lge alag-2 tarah ke phool ko dekhte the aur taarif krte the. Gulaab ka pataa har roj logo ko aate-jaate dekhta tha aur sabki taarif sunta tha usko ye lagta tha ki uski bhi koi taarif kre lekin aisa kabhi nhi hota tha , jitne log waha ghumne aate the saare log alag-2 tarah ke ped-paudhe aur phool ki taarif karta tha lekin aisa kabhi nhi huaa jab kisi ne gulaab ke patte ki taarif ki ho. Ye dekhkar gulaab ka patta bahut niraash hota tha , aise karte-2 bahut din bit gye kisi ne uski taarif nhi ki aur iss baat ko lekar wo bahut dukhi tha wo sochta tha ki mai saayad kisi kaam ka nhi hu mujhe khud se nafrat ho rhi hai aur uske andar tarah-2 ke vichaar aane lge aur wo maayush hota chala gya.
Phir ek din jungle me badi zor ki hawa chalne lgi aur dekhte hi dekhte us hawa ne aandhi ka rup le liya aur phir bagiche ke ped-paudhe tahash-nahash hone lage aur saare phool tut kar zameen par gir gye, aur patta bhi apne saakha se alag hokar talaab me ja gira aur sab kuch barbaad ho gya . Tabhi patte ne dekha ki us aandhi ki wajah se ek chitti bhi tallab me gir gyi hai aur wo patte se kuch hi doori par thi,wo apni jaan bachane ke liye kaafi sangharsh kar rhi thi aur phir wo bahut jyada thak chuki thi aur usko apni mrityu tay lag rhi thi.Tabhi patte ne usko aawaz di ki ghabrawo nhi aawo mai tumhari help kr deta hu aur aisa kehte huye patte ne chitti ko apne upar baitha liya , aandhi rukte-2 patta talaab ke kinaare pahuch gya aur chitti kinaare par pahuch kar bahut khush ho gyi aur boli aapne aaj meri jaan bachakar bahut bada upkaar kiya hai sach-much aap bahut mahaan hai aapka bahut-2 dhanyawaad ye sunkar patta emotional ho gya aur bola dhanyawaad to mujhe aapka karna chahiye kyunki tumhri wajah se aaj pahli baar mera saamna meri kaabiliyat se huwa hai jis se mai aaj tak anjaan tha , aaj pahli baar mai apni life ka maksad aur taaqat ko pahchaan paya hu . To dosto mai iss kahaani se aapko yahi samjhana chahta hu ki ishwar ne hum sabko anokhi saktiya di hai, lekin kai baar hum khud apne kaabiliyat se anjaan hote hai aur phir samay aane par hum sbko iska pata lag jaata hai, humko iss baat ko samjhana chahiye ki ek baar asfal hona ayogya nhi hai aap khud ke tailent ko pachaan kar wo kaam kar sakte hai jo aaj tak kisi ne nhi kiya ho.