education

जीवन में शिक्षा का महत्व – importance of education in life

importance-of-education
importance of education

importance of education in life जीवन में शिक्षा का महत्व -:Jaisa ki aap sabhi log jaante hain education humari zindagi mein kaafi important hain. Education ke through hee hum sab apni apni life mein success aasani se paa sakte hain. Education se hee hum cheezo ko, jo humare aaspaas ho rahi hain ya fir kisi cheez ki knowledge like;GST, samjh paate hain aur jaan paate hain. Toh aaj m aap logo ko apne is article ke through education ki zindagi mein kitni importance hain vo bataunga.

importance-of-education

importance of education


Education se knowledge milti hain

Education humari life ko success banane k lie bohot zyada faayedemand hoti hain kyuki hume education ke through hee duniya ke baare mein jaanne aur samjne ka mauka milta hain. Education hee hume apne nation ya duniya m ho rahi halchalo ka pata lagta rheta hain.

Hume education se calculations, politics aur bhi important cheeze jo humari zindagi mein ek important role play karti hain uska pata lagta hain. Present time mein approx. Log apne apne rights se aware hain jis kaaran unka koi exploitation nahi kar sakta. Education hone se kisi bhi desh m corruption ke failne ki probability khatm ho jaati hain.

Education ek insaan ki life mein utni hee important hain jaise unki pehechan. Education se hee pehechan banti hain. Islie hum keh sakte hain ki education se hee hume duniya mein ho rahi halchalo ka gyan milta hain jo humare dimag ko sharp karti hain.

Education overall personality develop karti hain

Personality development education se hee possible hoti hain kyuki education ke through hee hum kahi types ke etiquettes seekh paate hain jis kaaran humara self-development hota hain.

Personality develeopment hone par ek insaan m positive attitude aata hain jisse us insaan ki respect khudbakhud badti hain. Dusro ke sath acha Behave karna kisi bhi insaan ke liye bohot important hota hai aur acha behave krne, baate karne aur bhi bohot kuch jo personality develop kre use education ke hee through hee paaya jaa sakta hain.

Education se hee environmentally consciousness hoti hain

Jaisa ki hum sabhi log jaante hain present time mein jo nations apna economically ,socially , development kar rahe hain vaha pe pollution jaisi problems bhot dhekhne ko milti hain for example; India, China etc.

In desho mein adhik population hone ki vaja se deforestation hone laga hain. Jisme bade bade junglo ko kaata jaraha hain taaki logo ke liye rehene ki jagah banayi jaaye. Islie education ke through deforestation,badti population aur badi factories etc jo environment ke liye khatrnaak hain unke disadvantages ko bataya jaata hain. Jo log enviromentally conscious hain vo log in cheezo ke against hain aur unhone population ko bhi control karne mein adhik help apne nations ko pahuchayi hain. Aur yeh consciousness education ke through hee laayi jaaa sakti hain.

Education se mindset hota hain

Education ke through hee hum purani soch jaise, men aur women mein inequality, hum badal paaye hain. Education ke through hee men and women m equality ka pata laga hain. Jaha puraane samaye mein men & women mein discrimination hota tha jisme sabhi kaam karne ki anumati sirf mens ko hee hoti thi. Lekin aaj education ke through logo ko equality ke baare mein aware kiya jaane laga hain jis kaaran aaj development dono side (men&women) se horaha hain.

India ek bohot bada nation hain jaha alag alag tarah ke religion paaye jaate hain. Aur education ke through hee ek religion ka insaan dusre religion ki respect karna jaaan paaya hain parantu pehele aisa nahi hota tha kyuki uska main reason education ka naa hona tha. Toh kisi bhi nation mein mindset almost same ho jaane par nation ka economically, socially, politically development hota hain.

Education se hee nation develop hota hain

Present time mein indian govt pure nation aur specially rural areas (jaha tak sources puri tarah nahi pohoch paate) mein education se related facilities pahucha rahi hain aur education k advantages bhi bata rahi hain. Aur govt ki is education pahuchane ke process ko logo ne bhot acha response diya hain jis kaaran ve school jaana shuru ho gaye hain aur ve sabhi log apne sapno ko education ke through pura karna chahte hain. Kisi bhi nation ka development bina education ke bilkul naa ke baraabar hota hain kyuki education se hee hume knowledge, informations milti hain jis kaaran hum world mein ho rahi ativities ka pata laga paate hain.

Educated hone se hee future generation ko education ke ache sources apne aap milenge jis kaaran unki mentality bhi purani mentality se different hogi aur vo sabhi bina kisi discrimination k apna kaam sath milkar karenge jisse desh ka econimically development hoga. Jaisa ki hum sab jaante hain aaj bhi india jaisa bada nation farming par based hain.

Aur jo cheeze farming ke through ugaayi jaati hain unka b padosi desho mein , jaise pakistan,srilanka,bangladesh etc, trade hota hain aur is trade ke hone se pura credits education ko hee jaata hain. Kyuki education hee hume peacefully jeena seekhata hain, padosi desho ke sath achi bond banana bhi sikhata hain.

Inhi reasons se ek desh dusre desho mein sabziya etc ka trade karte hain jisse us nation ka economically development hota hain aur do nations ke beech ka relation aur strong banta hain.

CONCLUSION

In baato se aapko pata lag gaya hoga ki education ek insaan ki life mein kitni important hoti hain. Islie education bohot zruri hain.

1 Comment