make money

फाइवर क्या है ? और फाइवर से पैसे कैसे कमाते है ?

fiverr-kya-hai

dosto kya aap janana chahte hai ki fiverr kya hai aur fiverr se paise kaise kamate hai to ye post aapki kam ki hai, kyuki is post ke through mai aaj aapko batane wala hu ki fiverr kya aur fiverr se paise kaise kamate hai,
to chaliye start karte hai.

fiverr kya hai?

sabse pahle jaan lete hai fiverr kya hai. fiverr ke online market place hai jha par log apni services online sell and buy kar sakte hai. fiverr ki khas baat yeh hai ki yha par koe bhi services sirf 5 doller me mil jayegi. fiverr ki language me is services ko “GIGs” kha jata hai.

Fiverr ko 2010 me Shai Wininger and Micha Kaufman dwara launch kiya gya tha. aur ye day by day growth ho rhi hai. aur log (specially) freelancer iska pura fayda le rhe hai. aap bhi apni services easly fiverr par sell kar sakte hai jaise : logo designing, web designing, web development, video creation, SEO, writing, selling tools, offering consultancy, facebook likes, modeling, photography and many more..

mai aapko simple step me bta deta hu:

1 jaise aap koe service (GIG’s) ko 5 doller me sell kar rhe hai.
2 Aur jab dusra person aapki services ko order karta hai aur fiverr ko 5 doller pay karta hai (paypal ya credit card se).
3 fir aap (seller) is kam ko karne ka time leta hai. tab tak payment fiverr ke pass hi rehegi jab tak aap work complete nhi kar dete.

4 fir aap (seller) work complete kar ke buyer ko deliver karte hai.

5 tab jake fiverr aapko 5 doller me se kuch percent kat ke aapko send kar deta hai.

yeh bahut hi simple process hai fiverr par sell karne ka. to dosto der kis bat ki chaliye aaj hi fiverr
ko join karte hai aur paise kamate hai. isse pahle bahut se logo ke dimag me sawal aaya hoga ki faverr se kitna paisa kma sakte hai .

फाइवर se kitna paisa kma sakte hai?

dosto mai aapko bta du ki fiverr se aap unlimted earn kar sakte hai ayr log lakho kama bhi rhe hai, bas ye aapke 3 chizo par depend hai.

1 aap apni service kis type ki provide karte ho aur delivery time kaisi hai.
1 aap charge kitna lete ho.
1 aap kitne client banate ho.

agar aap shi service offer karte ho aur time par usse aapka review badega hai isse dusre buyers bhi aapki service ki taraf attractive honge.

फाइवर पर Account कैसे create करे ?

dosto fiverr par account create karna bahut simple hai, uske liye bas aapke pas gmail ki id ya facebook ki id honi chahiye. to chaliye fiverr par account bna lete hai.

1 fiverr par account create kare ke liye same wala link par click kare – https://www.fiverr.com

2 fiverr ki website open hone ke bad aapko top me right side join ka button dikhega aap uspar click kare .

3 Join par click karte aapke samne ek pop up open hoga jaise ki niche wali images me dikh rha hai. usme aap apna gmail account dal kar continue ke button par click kare. ab aapko user name aur password apne hisab se dalna hai taki yad rahe. aur join now ke button par click kar de.

join-fiverr

4 ab aapke gmail par ek message gya hoga jaisa ki niche image me dikhaya gya hai. wo aapse email confirm ke liye puch rha hai bas aapko activate your account ke button par click kar dena hai.

activate-your-account

5 Active button par click karne ke sath hi aapka account successfully activated ka top me dikhega uske sath me aapko profile edit ka link dikhega aapko us par click kar ke profile edit karni hai.

account-activated

6 Jaise hi aap edit link par click karenge aapse full name, password, notification and billing information pucha jayega aap ise shi shi fill up kar de kyunki aapki profile hi aapke kam karne ke andaj ko batati hai.

1 sabse pahle aapko aapki profile ke dashboard par jana hai.

2 create a gig button par click karte hi aapke samne ek nya page open hoga jaise ki bottom image me dikhaya gya hai. aur aapse ab aapke service ke bare me puchega ki aap kya service sell ya offer karenge yani aap kis kam ko kar sakte ho. ye sab fill karne ke bad aap simply save and continue ke button par click kar de.

i-will-create-blog-theme

3 save and continue ke button par click karne ke bad aapko aise hi six step fill up karne honge jaise:overview, pricing, description, Requirement, gallery, and publish (aap bottom image me dekh sakte hai).

fiverr-step

mai aapko overall bta deta hu kisme kya fill up karna hai:

Overview yha par aap kis type ke kam sell kar rho ho jaise: logo designig, writing, make video i.e

pricing yha par aapko apne kam ki prize set karni hai, maine pahle hi bta chucka hu ki koe bhi service aap $5 se start kar sakte hai aur aapko lagta hai ki is kam ke liye $5 kam hai to aap ise badha bhi sakte hai. iske alawa aap client ka kam kitne din me kar ke denge ye set kar sakte hai jaise: 1 se 5 days, 7 days i.e

description & faq yha par aapko kam ke bare me acchi se acchi description likhni hogi taki client aap par believe kare aur kam de.

Overview yha par aap kis type ke kam sell kar rho ho jaise: logo designig, writing, make video i.e

gallery yha par aap apne work related service ki photo lga sakte hai.

Publish Publish ke button par click karte hi aap ki sevice internet par share ho jayegi. jaisa ki aap bottom me dekh sakte hai.

4 to dosto aapka gig internet par share ho gya hai jaisa ki aap bottom image me dekh sakte hai. ab jab bhi koe client mere service se related fiverr par searh karega to mera bhi gig’s show hoga aur client jo mera gigs pasand aaya to wah services offer karega.

gig-share

To dosto aap bahut hi easily fiverr par account create karna and services offer karna sikh liye hai. to der kis bat ki hi aaj hi aap fiverr par account banaiye aur paisa kamana start kijiye. agar aapko kuch problem ho to aap niche comment ke dwara puch sakte hai. aur meri yeh post aapko achi lagi to aap dosto ke sath share karna na bhule. Thanks and keep vistiing 🙂