motivational

दो पत्थर की प्रेरणादायक कहानी !

do-pathar-ki-prenanadayak-kahaniya

Dosto aaj jo mai aapko kahani sunane ja rha hu us se hame bahut kuch sikhne ko milega. jaisa ki hum jaante hai ki hamari life jo hai wo bahut hi sangharsh purna hai ,aur agar aap sangharsh nhi karoge to apne future me kuch nhi kar paaoge aur phir zindagi bhar pachtana padega.To behtar ye hoga ki hame apni zindagi me kabhi haar nhi manani chahiye aur nirantar prayaash karte rahna chahiye, aur agar hum aisa karte hai to apni zindagi me kaafi kuch haasil kar sakte hai. To chaliye dosto aaj hum issi baat ko samjhane ke liye aapko ek kahani sunata hu, jo ki bahut hi achhi kahani hai jis se hame bahut kuch sikhne ko milega.

Ek baar ki baat hai ek kalakaar khi ja rha tha kuch kaam ke silsile me bahut door jaane ke baad usko ek bahut bda jungle mila. jaise hi wo jungle ki taraf badha tabhi usne dekha ki ek bahut bada pathar pada hai, tab usne socha ki kyun na hum is pathar ka istemaal krke ek bahut hi sundar murti banaau. ye soch kr usne murti banane ka faisla kr liya aur phir apni bag se auzaar nikala aur phir pathar ko todna suru kiya hi tha ki tab tak pathar se awaaz aaye ki bhai mujhe mat maaro dard hota hai mujhe chod do. ye sun kar kalakaar hairaan ho gya aur pathar todna band kr diya aur apna saara auzaar apne bag me rakh kr wha se chal diya.

kalkaar wha se chal to diya lekin uske dimmag me ek hi sawaal baar baar uth rhe the ki pathar se aakhir awaaz kaise aaye ye waakya to mere saath pahli baar hua hai maine itni saari kalakriya ki hai lekin aisa kabhi nhi hua , ye sochte-2 wo kaafi dur chala gya ki tab phir usko ek aur pathar dikha to wo phir wha ruk gya aur sochne lga ki chalo is par try krte hai lekin wo andar hi andar darr bhi rha tha, ki phir se whi waakya na ho jaaye . lekin phir usne himmat jutakar us pathar se murti banane ka faisla kr liya aur bag se saara auzaar nikala aur apni kalakaari suru kr di, aur phir usne us pathar se apni kala ko pradarshit karte huye ek bahut he shandaar murti ka nirmaan kar diya aur wo andar hi andar khush bhi tha kyunki jo waakya uske saath pahle waale pathar ke saath huwa tha wo is pathar ke saath nhi huwa. Aur phir wo murti ko banakar whi chod deta hai aur aage chal deta hai.

phir kalakaar jaise hi jungle se baahar aaya to dekha ki jungle ke baahar ek chota sa gaw tha aur waha ek bahut hi sundar mandir ka nirmaan ho rha tha jo ki kaafi bhavya mandir tha . Aur wha pe kuch log baith ke baate kr rhe the ki mandir ka nirmaan to ho gya lekin ab murti kha se laya jaye, ye sun kar kalakaar wha gya aur mukhiya se bola mukhiya ji aap murti ki bilkul chinta na kare ,aap mere saath jungle me chaliye jaha maine ek bahut hi achhi murti banayee hai, ussi murti ko is mandir me rakh dete hai .Ye sunkar mukhiya aur wha ke baaki ke log bahut khush huye aur wo sabhi us kalakaar ke saath chal diye. kaafi door chalne ke baad wo wha pahuch gye jaha kalakaar ne murti ko bna kr choda tha. phir wo log us murti ko wha se utha kr le aaye aur mandir me usko isthapit kar diye. Ab mandir thik tarah se taiyar ho chuka tha aur bahut hi sundar dikh rha tha, phir usme pooja archana bhi suru ho gyi thi.

Ab to mandir me pooja suru ho gya tha lekin kami thi to ek chij ki wha pe naariyal phodne ki jagah nhi thi, to mukhiya ne socha ki agar log murti ke pass naariyal phodna suru kar denge to pareshaani ho jayegi to usne socha ki kyun naa hum ek pathar rakh de naariyal phodne ke liye , tabhi wo kalakaar mukhiya ji se us pahle pathar ke baare me batata hai jisko wah murti banane ki koshish ki thi lekin bna nhi paya. To phir ye baat sunkar mukhiya kuch logo ko bhej us pathar ko laane ke liye kahta hai, wo log jungle ja kar us pathar ko lekar aate hai. Aur logo ne us pathar ko mandir ke baahar rakh diya, ab jo log bhi mandir me pooja karne aate hai wo us pathar par naariyal phodta hai. phir ek din dophar ke waqt mandir me koi nhi rahta hai tab dono pathar aapas me baat kar rhe hote hai pahla pathar us murti wale pathar se bolta hai , are wo pathar teri kya kismat hai tujhe aaj bhagwan bna kar pooja ja rha hai teri itni aarti utaari ja rhi hai. Ye sunkar murti wala pathar bolta hai agar tu meri tarah dard ka sahan kar liya hota to aaj tu meri jagah par baitha hota , ji ha dosto agar wo thoda dard sah liya hota to wo us jagah par baitha hota.

To dosto aaj ke is prerna daayak kahani se hame ye sikhne ko milta hai ki is duniya me ussi insaan ko pooja jaata hai jo success hota hai aur dosto success unhi logo ko milti hai jo apni life me kuch karne ke liye bahut kathinaiyo ka saamna karte hai aur dard jhelte hai. To agar hame apni life me kuch achha kar ke dikhana hai to bahut saari musibato ka saamna karna padega, tabhi hame success milegi. To dosto ye thi hamari aaj ki kahani.

agar ye kahani aapko pasand aayi ho to ise feacebook, whatsapp par apne dosto ke sath share kare. Thanks for reading.

2 Comments