health & fitness

नारियल पानी पीने के ये 10 फायदे आपको हैरान कर देंगे

coconut-water-benfits-min

Benfits of coconut water Dosto har koi health banana chahta hai aur swastha rahna chahta hai.chahe koi kitna bhi dhanwan kyo na ho agar wah swastha nhi hai to sab dhan bekaar hai.Dhan se vastue kharidi ja sakti hai par uska upbhog ache swasthya par nirbhar karta hai.

Garib yadi swasthya hai to fikra ki koi baat nhi hai kyoki uske pass swasthya rupi dhan hai.swasthya banaye rakhne me niyamit dincharya ka bahoot mahatwa hai.yah vyakti ko tanav se door rakhta hai .

Nariyal pani ek bahoot swadist aur kam callory wala prakritik swadist pey hai ,pure duniya me har umra ke log ise pite hai.yah amlata aur pet ki jalan ki wajah se amliya piech star ko banaye rakhne me madada krta hai, saath hi is swasthya peya me anti-aging aur cancer ke prabhav ko km karne ke gud hote hai.Nariyal pani ko kai varso se swasthya se judi har samayao ko hal karne ke liye aahar me saamil kiya gya hai,Garmiyo ke dino me iska sewan aapke body ke taapmaan ko samanya banaye rakhta hai aur aapko shitalta deta hai.

coconut-water-benfits-min
coconut water benfits in hindi

2005 me westindies ke madical journal me prakashit ek adhyayan me yah bhi paya gaya hai ki nariyal pani high bipi ko niyantrit karne me madad karta hai.Nariyal pani ek perfect health drink hai,yah na hame bimariyo se bachata hai balki unke ilaaj mebhi karigar hai.

Nariyal ka har hissa kisi na kisi tarah se faydemand hota hai, lekin naariyal ke panni me kuch aise tatwa hote hai jinki hamari body ko sabse jyada jarurat hoti hai.Ek naariyal me kareeb 200 mili litre ye us se adhik paani hota hai aur saath hi ye ek lo calory drink bhi hai.Aur sabse aham baat naariyal panni immune system ko tandrust rakhta hai.To aaiye jaante hain naariyal paani peene ke kitne laabh hote hain.

नारियल पानी पीने के ये 10 फायदे , जिसको सुनकर आप हैरान रह जायेंगे :-

To chaliye dosto mai aapko naariyal paani peene ke 10 mahatwapurn baate batata hoon.

1) नारियल पानी पीने से बॉडी में पानी की कमी नहीं होती

Naariyal paani peete rahne se body me paani ki kami nahi ho paati. body me paani ki
kami ho jaane ya taralta kam ho jaane par, dairiya ho jaane par ya dast hone par naariyal paani faaydemand hota hai.

2) नारियल पानी पीने से weight कम होता है :-

naariyal paani wajan ghatane ke liye ek bahut hi achha pey hain.Is halke aur taaja pey me bibhin bioactive enzyme hote hain,jo ki paachan aur fat ke chayapachay ko badhawa dene me sahayata karte hain.
Iske alawa naariyal paani potassium me samridh hain,jo sodium ko bahar krne me madad krta hain.

3) नारियल पानी पीने से सरदर्द से छुटकारा मिलता है :-

adhikaansh seer dard bulky migrain bhi paani ki kami ke kaaran hote hain.Aise mamalo me naariyal paani body ke liye electrolyte ki aapurti aur jal sewan ko badhane me madad karta hain.

4) प्रेगनेंसी में नारियल पानी है फायदेमंद :-

pregnancy ke samay mahilawo ko kai tarah ke posak tatwo ki jarurat hoti hain. posak tatwo ki jarurat sirf pregnant mahila ko hi nahi bulki uske garbh me pal rhe bache ki sehat bhi issi par nirbhar karti hain.aise me naariyal paani posak tatwa ki jarurat ko puri karta hain.
pregnancy me naariyal paani ke sewan se subah jee michlana(morning sickness),kabzz aur thakaan dur karne me madad milti hain.Iske alawa yah pratirodhak ko sudharne me bhi upyogi hain.

5) नारियल पानी पीने से चेहरा पर चमक आती है :-

nariyal paani me cytokainins hain jo ki koshikawo aur utako par umra ko kam krne waale prabhav daalta hain.
aapki twacha ki chikni aur naram rakhne ke liye naariyal paani bhi aapke twacha ko posad aur hydrate karta hain.

6) हाई ब्लड प्रेशर को कण्ट्रोल करने के लिए :-

high blood pressure ko niyantrit karne ke liye naariyal ke paani ka istemaal kiya jaata hain.Isme maujood vitamin c,potassium aur magnesium blood pressure ko niyantrit rakhne me sahayak hote hain,aur saath hi ye hypertension ko niyantrit karne me sahayak hota hain.

7) DIABETES में नारियल पानी के लाभ :-

naariyal paani ka sewan diabetes ke rogiyo ke liye bahut laabhdayak hain. ye aapke wajan ko bhi samanya rakhne me madad karta hain.Isme paaye jaane waale posak tatwa, body me sakkar ke istar ko niyantrit rakhte hain.jo madhumeh(diabetes) ke rogiyo ke liye bahut jaruri hain.

8) गुर्दे के रोग को ठीक करने में उपयोगी :-

naariyal paani me maujood unch mineral.potassium aur magnesium saamagri ke kaaran yah gurde ki pathri ke khatre ko kam karta hain.
Iske prabhav ko badhane ke liye ek cup naariyal paani me samudri namak ek chutki milaye aur din me ek ya do baar piye,jo ki bahut faydemand hoga.

9)नारियल पानी के फायदे है हैंगओवर उतारने के लिए :-

naariyal paani bhi hangover utaarne me ek bahut he achha prakritik upaay hain.sharaab aapke body ki hydreson ko khatm kar deti hain aur iski wajah se aapki subah udaas bhari ban jaati hain. Naariyal paani me bharpur maatra me electrolyte potassium paya jaata hain jo hangover ke dauraan body me electrolytes ki kami ko pura karne me madad karta hain.

10) ह्रदय रोग के लिए उपयोगी :-

yah kam ghanatwa waale lipoprotein ko kam karta hain aur unch ghanatwa waale lipoprotein ke istar ko badhane me madad karta hain.Iske alawa naariyal paani me sujan kam karne waale aur antiplatlates bhi hote hain.

To dosto ye raha top 10 nariyal pani pine ke fayade. mujhe umeed hai aapko yeh post achhi lagi hogi.
agar aapko hamari ye post achhi lagi ho to dosto ke sath share karna na bhule . ayr ha nhi bhi achhi lagi ho fir bhi apne dosto ke sath share kijiye 🙂 Thanks