motivational

Asafalta ka kaaran-“Inspirational story”

Asafalta ka kaaran (Failure Stories In Hindi)

Asafalta ka kaaran “Inspirational story” (Failure Stories In Hindi) : dosto asafakta hamari life ka ek hissa hai jise har insaan ko saamna krna paadta hai. Aur us asafalta ko piche chodte huye hume aage badhna padta , chahe koi bhi success insaan ho usko bhi kabhi na kabhi asafalta ka saamna krna pda hoga isiliye hum asafalta ko apni life ek hissa maan ke chalna padta hai aur ye jaruri nhi ki har insaan asfalta ka saamna krke success ho jaata hai bahut log aise bhi hai jo asafalta ki daldal se baahar nhi nikal paate aur apni zindagi ko koste hai lekin bahut log aise bhi hai jo baar-2 asafal hone ke baad bhi nirantar apni mehnat me lge rhte hai wo insaan ek na ek din success ho jaata hai ,

to dosto aaj ki hamari kahaani issi pe based hai jiska title hai “Asafalta ka kaaran” to chaliye hum story start krte hai.

Asafalta ka kaaran (Failure Stories In Hindi)

Ek baar ki baat hai ek aadmi kahi ghumne ke liye nikla bahut door jaane ke baad usne ek sadak ke kinaare kuch haathiyo ko bandha huwa dekha to wo ruk gaya aur usne dekha ki saare haathi ek choti si rassi se bandhe huye hai tab wo sochne lga ki ye haathi itni choti rassi me bandhe hai aur chup chaap khade hai inke paas to bahut taakat hai ye chahe to rassi ko todkar bhaag bhi sakte hai inko to zanjeero se bandha hona chahiye kyunki itna bda jaanwar rassi se baandha nhi ja sakta phir ye kaise mumkin ho sakta hai wo kaafi soch me pad gya aur phir wo is baat ko pta krne ke liye maawat ke paas gya maawat matlab jo haathi ko chalaate hai to uske paas jaakar pucha ki yaar ye itne vishal jaanwar ko tumne ek choti si rassi se baandh kr rakha hai jabki inhe to zanjeero se bandha hona chahiye tab maawat ne bataya ki jab ye chote hote hai to inko issi choti rassi se

baandh kr rakha jaata hai kyunki us samay inke pass us rassi ko todne ki taaqat nhi hoti aur wo bahut prayaash krne ke baad bhi us rassi ko nhi tod paate phir wo koshish krna hi chod dete hai wo maan lete hai ki is raassi ko hum nhi tod sakte aur jaise-2 ye badhte hai inke andar taaqaat to bahut jyada ho jaati hai lekin inke dimaag me whi soch rhti hai ki hum is rassi ko nhi tod sakte aur phir koshish krna bhi band kr dete hai to yahi kaarn hai ki ye abhi bhi in raasi se bandhe huye hai. To dosto mai is kahaani ke jariye ye samjhana chahta hu ki insaan ko nhi in haathiyo ki taraah galat dhaarna nhi paalni chahiye ki hum aage nhi badh sakte,ekin aaj kal real life me bhaut insaan ke sath aisa hota hai ki wo kisi bhi kaam me ek baar asafal ho jaate hai to phir haar maan kr baith jaate hai ki ye kaam mujhse nhi hoga aur phir koi aur kaam ki talaash me lg jaate hai aur phir usme bhi asafal ho jaate to sochte hai ki koi aur kaam kr le lekin aisa bilkul nhi krna chahiye har insaan ka ek aim hona chahiye apni life me ki hume ye kaam krna chahiye aur hum isse har haal me pura kr ke rahenge chahe kitni bhi badi muskil ka saamna kyun na krna pde .

Aaj kal whi insaan success hai jo apni life me kabhi haar nhi maanta aur nirantar mehnat krke apne aim ko pura krta hai, hume apne dimaag me kabhi negative thinking nhi rakhni chahiye ki ye kaam humse nhi hoga kaun kehta hai ki aasmaan me suraag nhi ho sakta ek pathar to tabiyat se uchaalo yaaro. To dosto is kaahni se hume ye sikhne ko milta hai ki asafalta to har ek insaan ki life ka hissa hai aur hume is asafalta se aage nikal life me kuch achha krna hai .