motivational

अकबर बीरबल की कहानी – (motivational story in hindi)

akbar-birbal-ki-kahani

dosto aaj mai aap sab ko ek bahut hi intresting kahaani sunane wala hu jo ki kaafi dilchasp hai. aur wo kahanni hai akbar aur birbal ki. dosto aapne akbar aur birbal ki bahut saari kahaniya suni hogi aur unhi intresting kahaniyo me se ye bhi ek kahaani hai. aap sab to jaante hi honge ki kaise birbal kathin se kathin kaam chutkiyo me solve kar dete the, to dosto ye kahaani bhi unhi ke kaarnamo par hi based hai . To chaliye dosto ab hum kahaani start karte hai .

Ek baar ki baat hai jab raja akbar apne sabha me baithe the aur baaki saare mantri bhi sabha me present the, tab raja akbar ne apne mantriyo se kaha ki aap sabhi ko pta hi hai ki hamare rajya sabha ka sabse chalaak aur honhaar mantri birbal hai jo muskil se muskil kaam ko aashaan kr dete hai jinke aage koi tik nhi pata aur naahi inki koi misaal de sakta hai to saare mantri bhi is baat se puri tarah sahmat the aur unhone kaha ki hum jaante hai ki birbal ek bahut hi honhaar mantri hai jo ki kisi bhi problem ko aasani se solve kar dete hai, to unki in baato se saare log santust the lekin ek aisa mantri tha jo ki raja ke in baato se bilkul sahmat nhi tha tabhi raja ki nazar us mantri par padi jo ki kaafi pareshaan lag rha tha, tabhi raja ne us mantri se puchha kya hua tumhe birbal ki kaabiliyat pe sak hai, to us mantri ne kaha jiska naam sukhdev tha, ji ha maharaaj mai is baat se bilkul sahmat nhi hu ki birbal hum sabse mahaan hai, tab raja ne sukhdev se kaha tumne inke kaarnaame nhi sune kya jo aisi baate kar rhe ho. tab sukhdev ne kaha ki maharaaj agar birbal itne hi mahaan aur chatur hai to phir inhe mera ek kaam krna hoga tab mai maanunga ki ye sach me hum sabse hosiyaar hai to phir raja ne unse kaha ki wo shart kya hai ,

tab sukhdev ne kaha ki agar birbal ox yaani bail ka dudh la denge to hum maan lenge ki ye sach me mahaan hai. ye baat sunkar raja bilkul hairaan ho gye aur bole kya tum paagal ho gye ho bail dudh deta hai, tab usne kaha ki agar birbal itne chalaak hai to inke liye ye kaam mushkil nhi hai .

Tab unhone birbal ko bulaya aur puchha ki birbal kya tum ye kr sakte ho to phir birbal ne kaha ki agar aapki yahi marzi hai to mai jarur karunga ye sunkar akbar hairaan ho gye aur unhone birbl se kaha ki ek baar soch lo ye kaam itna aasaan nhi hai, to unhone kaha ki aap chinta na kare mai is kaam ko asaan bna dunga, mujhe kuch din ki maulat chahiye, to raja ne birbal se kaha thik hai tumhe kitne din ki maulat chahiye to birbal ne kaha sirf ek din . raja ne kaha thik hai to phir kal aapko sabha me haajir hona padega aur ye kah kr wo chale gye.

Phir jab raat huyi to raja sone chale gye aur wo kuch hi samay soye honge tabhi aawaaz aane lgi jis se unki nind khul gyi aur unhone apne sainik ko bulakar kaha jaao dekho kaun itni raat ko itna sor macha rha hai aur usko mana kro, to phir sainik gya aur usko mana kr ke aa gya phir raja sone chale gye tabhi kuch samay baad phir usi aawaaz ke kaaran phir se raja ki nind khuli is baar wo bahut hi gusse se sainik ko bulaya aur kaha maine tumse is sor ko band krne ke liye kaha tha tumne suna nhi jaao dekho kaun hai aur usko yaha lekar aao sainik ne kaha ji huzoor aur ye kah kr wo chala gya aur jaakar dekha to ek choti si ladki kapda dhul rhi thi to sainik ne kaha maine tumko mna kiya tha ki sor mat kro lekin tum nhi maani ab chalo raja tum pr bahut naraaz hai aur tumko bulaya hai ye kahkar wo us ladki ko wha se lekar raja ke pass gya.

tab raja ne us ladki se puchha ki itni raat gye tum kya kr rhi ho aur hamari nind kyun kharaab kr rhi ho jaake soti kyun nhi to ladki ne kaha ki huzoor mai kapade dhul rhi thi. tabhi raja ne kaha itni raat gye tum kapde kyun dhul rhi ho, to ladki ne kaha ki meri mummy maike gyi huyi hai aur papa ne ek bachhe ko janm diya hai to mai isliye kapde dhulne aayi thi, ye sunkar raja bahut soch me pad gye aur unhone ladki se kaha ki tum paagal ho gyi ho aadmi kabhi bachha deta hai . ladki ne kaha ki huzoor aapke rajya me to kuch bhi ho sakta hai, kya aapne suna nhi ki baail bhi ab dudh dene lage hai, to mere pita bachhe ko janam kyun nhi de sakte, to raja ne kaha ooo achha ab mai samjha ab tum ghar jao aur soo jao aur mujhe bhi sone do aur birbal se kahna ki hum samajh gye hai ki humne galti ki hai. aur ye kah kar unhone apne sipahiyo se us ladki ko surakshit ghar pahuchane ka hukm diya aur sone chale gye.

phir jab agle din darbaar lga to sukhdev aaya aur raja se kahne lga ki huzoor mai kal raat bilkul nhi soo paya hu pta nhi kaisi aawaz meri kaano me gunj rhi thi aur mai raat bhar so nhi paaya hu , ye sunkar raja hasne lage to sukhdev ne kaha huzoor mai mazzaak nhi kar rha hu sach me kal raat meri bdi kharab gujari hai. tab raja ne sukhdev se raat ki ghati saari kahaniya baatai aur ye sunkar wo hairaan ho gya, aur usne birbal se maafi maangi aur bola mujhse galti ho gai hai mujhe maf kar do, mai apne shabd waapas leta hu aur saath hi ye bhi maanta hu ki tum sach me bahut chalaak ho, tumhara muqabala koi nhi kar sakta. To dosto ye thi hamaari aaj ki kahaani mujhe umeed hai aap sab ko bahut pasand aayee hogi.

1 Comment

  • I loved this Akbar And Birbal stories from my child hood onwards . birbal is such A Brilliant Guy who solve Any problems in Few seconds